Is article mein, aap jaanenge ke third-party payment method verification kaise kaam karta hai, kaun se documents zaroori hote hain, aur process ko sahi tareeqe se kaise mukammal karein.
Third-party payment ki tasdeeq ka amal
Lazmi tasdeeq ke douran, mumkin hai ke aap se apne payment methods ki tasdeeq karne ko kaha jaye. Hum hamesha apne traders ko mashwara dete hain ke woh sirf apne hi payment methods se deposit karain. Agar aap kisi aise tareeqe se deposit karte hain jo aap ka nahi hai, to us ki tasdeeq bhi karni hogi. Lazmi tasdeeq ke bare mein mazeed parhein yahan. |
|
Hum is payment method ki tasdeeq ke liye hidayat ke sath aik email bhejein ge. Barah-e-karam yaqini banayein ke payment method ka malik email mein diye gaye link ke zariye darkhwast ki gayi dastaveezat jama kare.
📌 Payment method ke malik ko Olymptrade par lazmi tor par naya account banane ki zarurat nahi hai. Diya gaya link unhein seedha tasdeeq ke form tak rasai dega.
Tasdeeq ki dastaveezat
🤵Identity proof
Apni shanakht ki tasdeeq ke liye aap apna passport, qaumi shanakhti card, driving license jama kar sakte hain.
Aap ke dastavez mein aap ka naam, paidaish ki tareekh, aur tasveer maujood honi chahiye.
Mazeed misaalon aur mashwaron ke liye yeh maqala dekhein.
🤳3D selfie
Apni 3D selfie jama karne ke liye apna chehra frame ke andar rakhein aur sar ko daire ki shakal mein hilaein. Tasdeeq ke douran tamam hidayat platform par dikhai dein gi.
Mazeed misaalon aur mashwaron ke liye yeh maqala dekhein.
Dastaveez ki jaanch ka waqt
Jab aap apni dastaveezat jama kar dete hain to tasdeeq ka amal 24 ghante se le kar 5 kaam ke din tak le sakta hai. Aap ko tasdeeq ki surat-e-haal ke bare mein email ya SMS ke zariye ittila mile gi. |
|
📌 Aap kabhi bhi tasdeeq ka amal mukammal kar sakte hain.
Lekin agar tasdeeq ki darkhwast ke baad 14 din guzar jayein to kuch pabandiyan lag sakti hain. Aap ke paas tasdeeq mukammal karne ke liye kitna waqt hai, yeh ittila ke email mein wazeh likha hota hai.


