Lazmi tasdeeq ka process
Tasdeeq ka amal aik shanakht ki jaanch hai jo aap ke account aur tamam maali muamlaat ki hifazat ko yaqini banata hai. 💡 Jab tasdeeq lazmi tor par aap ke account mein talab ki jati hai to aap ko apne registered email address par ittila mil jati hai. Aap ko app aur platform ke web version mein bhi ittila mil jati hai. Is ke ilawa aap tasdeeq ke hisse tak yahan rasai hasil kar sakte hain. |
|
Kab aap ko tasdeeq mukammal karni hoti hai
| Platform par kisi bhi maali muamla karne ki koshish karte waqt lazmi tasdeeq talab ki ja sakti hai. Isi tarah jab aap contact information ya two-factor authentication (2FA) tabdeel karte hain. Is ke ilawa bhi kuch doosre asbaab ho sakte hain jaisa ke hamari KYC policy mein bayan kiya gaya hai. 📌 Kuch sooraton mein jab tasdeeq lazmi tor par talab ki jati hai to tasdeeq mukammal hone tak pabandiyan lag sakti hain. |
Tasdeeq ke dastavez
🤵 Identity proof
Apni shanakht ki tasdeeq ke liye aap passport, qaumi shanakhti card ya driving license upload kar sakte hain. Aap ke dastavez mein aap ka naam, paidaish ki tareekh aur tasveer honi chahiye.
Mazeed mashware aur misaalon ke liye yeh maqala dekhein.
🤳 3D selfie
Apni 3D selfie upload karne ke liye apna chehra frame ke andar rakhein aur apna sar gol daira ki shakal mein hilayein. Tasdeeq ke dauran tamam hidayaat platform par nazar aayengi.
🏡 Address ka proof
Aap Geolocation function ke zariye apni rehaish ki tasdeeq kar sakte hain. Is ke ilawa aap bank statement ya utility bill jaisa koi dastavez upload kar sakte hain jisme aap ka poora naam, pata aur jari hone ki tareekh maujood ho.
Mazeed mashware aur misaalon ke liye yeh maqala dekhein.
💳 Payment ka proof
Aap ki adaigi ki tasdeeq ke liye darkar dastavez us tareeqa par depend karte hain jo aap ne platform par jama karne ke liye istemal kiya ho. Aksar soorat mein dastavez ya tasveer mein aap ka naam, tareekh aur jama ki raqam nazar aani chahiye.
Mazeed mashware aur misaalon ke liye yeh maqala dekhein.
Dastavez ki jaanch ka waqt
Jab aap apne dastavez upload kar dete hain to tasdeeq ka amal 24 ghanton se le kar 5 kaam ke din tak lag sakta hai. Aap ko email ya SMS ke zariye apni tasdeeq ki status ke bare mein ittila mil jati hai. Aap apne profile mein tasdeeq ki status dekh bhi sakte hain. |
📌 Aap kisi bhi waqt tasdeeq ka amal mukammal kar sakte hain. Lekin tasdeeq talab hone ke 14 din baad kuch pabandiyan lag sakti hain. Aap ke paas apna account verify karne ke liye exact waqt notification email mein diya gaya hoga.



